coal mining Land

introduction: –

coal mining areas hamesa seĀ  infrastructure aur developement ke liye crusial rahe hain. is areas mein jab ek bar industrial group shuru hoti hai to land ki value aur infrastructure ki demand apne aap badhane lagti hai odisha ke sundargarh jila ka hemgir block jo ek emerging coal mining area hai. is artical mein hum bataenge sundargarh jilla ke hemgir block jahan coal mining kafi actively chal raha hai vahan invest karne se kaise aap apne returns ko multiply kar sakte hain aur kyon yah aane wale samay mein ek major hub ban sakta hai. to dekhiye doston hajar, lakhon salon se yahan coal maujood hai. prakritik sampada se bharpur is area mein bahut sara earning potential hai. agar aap is area mein land purchasing mein invest karte hain, to aage jakar aapko kafi sara fayda hone wala hai.. odisha ke sundargarh jilla ke hemgir block aur chhattisgarh ke raigarh jila ka tamnar ilake mein kafi sara coal gachit hai . abhi mining company ne is area mein kafi sara coal block le liya hai. adani,vedanta,mcl,hindalco jaise company coal production karne ke liye bahut sara coal block auction main le rakha hai. aage jakar vah log yahan se coal production karke bahut sara profit generate karenge. agar aap is time se yahan per land purchase karte hain aur building banakar chhod dete hain to apko bahut sara profit hone wala hai.

coal mining aur regional development ka relation :-

mining ek aisa industry hai jo bade scale per resources aur workforce ko attract karti hai. mining ke aaspaas ke area mein large scale development project implement kiye jaate hain taki industry ki jarurat ko pura kiya ja sake . jaise hi coal mining shuru hoti hai use region mein road, railway communication network aur utility jaise infrastructure main bhi teji se vikas hota hai. sundargarh jila ke himgir block mein bhi kuchh aise hi project initiate ho rahe hain jo na sirf industry ko support karte hain balki residential aur commercial sector ko bhi virodh ka ek badhotari dete hain. sundargarh se chhattisgarh ka raigarh ko connect karne ke liye yah ek highway gaya hai jahan se sundargarh ka business man log raigarh se bahut sara goods isi raste ke dwara supply karte hain. railway department ki aurse mcl ke sthit sardega siding se najdiki gare-palma tak railway track ko extend karne ke liye sarvey kiya ja chuka hai jo ki aage jakar ek bahut bada business hub hone wala hai.

mining ke fayde se infrastructure ka vikas :-

sundargarh jila ke hemgir block mein actively coal mining ke projects 1994 se chal rahe hain jise local infrastructure mein rapid improvement dekha ja raha hai. Mining operation ko smootli chalane ke liye sarkar aur company milkar achcha infrastructure development kar rahe hain. jaise ki barpali se lekar tapriya tak ke raste electricity, water supply aur pani ka proper management jab itna infrastructure ek radian mein aata hai to land value apne aap hi badhne lagte hain. local economy ko bhi mining operations se fayda hota hai kyunki naye jobs aur business established hote hain, jo development ki or boost karta hai. main nahin hone se kafi sara business strategy generate hota hai vahan se bahut log business karke apna income bhi generate kar rahe hain.

development ke prabhav se land value ka badhana:-

land ki value kisi bhi jagah se development se direct relation mein hoti hai. Jitna yada infrastructure aur industrial activity honge utani yada demand hogi,aur utani hi land ki value mein badhotari dekhi jayegi. sundargarh jila ki hemgir block ke case mein bhi yahi ho raha hai coal mining ke karan industries yahain hain jo local economic deti hai jaise jaise yah area aur develop hoga log residential or commercial land ke liye invest karenge. bahut sara bahar ke log is area mein land purchase kar liye hain aur abhi kar rahe hain aur land ki price hai aage aur badhane wala hai.

industries ka group banane ki potential:-

all mining se local industry ko boost milta hai aur sundargarh jila ke hemgir block ke aaspaas ke area mein industry ka set up ho rahe hain. lephripara block ke darlipali mein ntpc ka bahut bada power plant ban gaya hai, aur bhi bahut sare company apna factory banane ke liye project kar rahe hain. is se na sirf logon ka naye job mil rahe hain balki naye industries ke aane se demand bhi generate ho raha hai . aane wale samay mein yah area ek major industrial hub ban sakta hai.

industrial development se employment growth:-

call mining se aaspaas ke area mein directly aur indirectly jab create hoti hai directly to mining company apne project ke liye logon ko higher karti hain lekin directly bhi transport service aur utilities ke business ko kafi fayda hota hai aise mein local company ko teji se badhane ka ek mauka milta hai sundargarh jila ke hamirpur industrial growth potential badhta ja raha hai. khali hemgir nahin sundargarh jila ke lefripada block aur chhattisgarh jila ke raigarh jila ke kai sara area yahan ka prabhav se develop karta ja raha hai. kyunki yahan per call mining ka scale badhta ja raha hai aur naye industrial setups yahan aane ke liye taiyar hain.

allied industries aur supporting business ka uday :-

mining ke aaspaas na sirf mining related industry developed hoti hai balki allied industry bhi established hoti hain. allied industry ka matlab hai vah industry jo mining ko support karti hain jaise manufacturing, construction ,logistic, retail services jab koi major industry jaise coal mining ek area mein stable hota hai to baki industry ko kafi apne setup ka expansion karne ka chance milta hai. sundargarh jila ke hamir block mein naye business aur supporting sector bhi emerge kar rahe hain jo vahan ke economic landscape aur diversify hai karenge.

residential or commercial land development ka scope:-

coal mining se sab industry ko hi fayda nahin hota balki industrial aur commercial development ke liye bhi opportunity hoti hain. hemgir block ke aaspaas residential colony apartment aur commercial complex development hone ki chances kafi high hai kyunki area mein industry aur jobs badh raha hai. rahane ke liye ghar aur local market ka infrastructure bhi jarurat hota hai. yahan ke ileimunda, mundharkhet, gopalpur, tikilipada, hemgir aur chhattisgarh ke dhaurabhatta,tamnar area mein kafi sara buildings aur commercial complex ban rahe hain.

residential development:-

jab koi region rapidly industrialize hota hai to urbanisation ka process teji se shuru ho jata hai. log naye job opportunity ke liye migrate karte hain aur bahut sare acche school aur college per admission lekar padhaai karte hain jaise ki use area mein jab mil sake. bahar se acche se padhaai kiye hue technical version bhi aate hain aur unhen rahane ke liye jagah chahie hoti hai. himgiri block mein jaise jaise naye industrial setup hote hain baise baise wahan residential projects ke liye bhi scope badhata ja raha hai. aise mein land prices naturally increase karti hai aur agar aap pahele se invest karte hain to future mein uska return kafi jyada ho sakta hai.

commercial infrastructure ka uday:-

residential ke sath sath commercial infrastructure bhi jaruri hota hai. jo log yahan kam karte hain unhen market place, shopping complex, school,hospital aur entertainment ki facility ki jarurat hoti hai. khas taur per bileimunda,gopalpur aur hemgir mein bahut sare log rahte hain to unhen yah sab ka jarurat hota ja raha hai. jarurat hai badhate ki vajah se log is retirement ko fulfill hone ke liye dhundh rahe hain agar aap yahan per is sector mein invest karte hain to aapka invest jyada multiply hoke aaega.

environmental aur government policy ka impact:-

mining operation ka enviromental impact bhi hota hai aur sarkar isase manage karne ke liye policy impliment karti hai. lekin hemgir block mein development ko dhyan mein rakhte hue environmental safeguards bhi lagaja rahe hain. district mineral foundation ki or se kafi sara infrastructure development ho raha hai. iska matlab hai ki development ka process sustainable hoga, jo aapke investment ke liye long term mein faydemand ho sakta hai. government actively mining ko regulate kar di hai aur ise related area mein infrastructure development ke liye incentive deti hai. mining project se local government ko revenue generate hota hai jo aapas usi radius ke development mein lagaya jata hai. government of india ka district mineral foundation aur se infrastructure aur social and economical development ke liye kafi sara initiative liya ja raha hai.hemgir block ka infrastructure development ke liye government ka taraf se kafi support mil raha hai jo vahan ke long term growth ke liye ek positive sign hai. aajkal ke project mein sustainability aur environmental ko bhi dhyan mein rakha jata hai. himgiri block mein bhi aise majors liye ja rahe hain jo population ko kam karte hain aur local environment ko protect karte hain. is area ka long term growth sustainable banega aur vahan rahane wale logon ke liye bhi yah ek achcha indicator hoga.

investment ke liye opportunity : land investment ka right time:-

aage bahut sara company ka coal block kholne wala hai. abhi se unka process shuru ho gaya hai, bahut sare village mein gram sabha ho raha hai. agar aap abhi hemgir block mein land mein invest karte hain to aane wale time mein uske returns kafi impressive ho sakte hain kyunki yah area abhi development ke initial stage per hai. land ki prices abhi relatively low hai jaise hi industry aur residential development yahan aani shuru ho jaenge prices teji se ban jaenge aur aapka investment multiplay hoga. government ka rehabilitation and resettlement policy 2013 ke hisab se jis area mein mining operation chalu hoga vahan per compensation diya jaega. r&r policy 2013 ke hisab se current land value ka 4 guna compensation diya jaega. jo ki bahut high hai aur jo log abhi land parichit kar chuke hain ya karenge unke liye kafi fayda hone wala hai. agar aap land purchase karke koi building ya commercial complex vagera banate hain to uska bhi bahut yada compensation milega. kyunki abhi ka government value bahut yada badh gaya hai aur infrastructure ke liye bahut sara compensation squr feet ke hisab se diya jata hai.

early investment ka profit:-

investors ke liye sabse bada fayda hota hai jab vah kisi area mein uske list per invest karte hain. hemgir block ek aise hi stage per hai yahan development abhi apne initial stage mein hai aur land ki prices comparatively low hai. lekin jab development ka process accelerated hoga to prices exponentially badhane lagegi agar aap abhi invest karte hain to aapke returns aane wale kuchh salon mein kafi high ho sakta hai. hemgir block ke development, invester ko short term or long term dono fayde mil sakte hain. short term mein aapko land prices mein increment dekhne ko milega jo immediate games dega ,long term mein jab yah area ek fully developed industrial aur residential hub ban jayega to, aap ko kuchh stable aur consistence returns milane ka scope hoga.

conclusion:-

hemgir block ek rapidly developing area hai. jahan coal mining ke karan spasht kar aur industries ka development ho raha hai. yah area nasir industrial banne ki potential rakhta hai balki residential aur commercial development ke liye bhi idol hai. agar aap abhi is region mein invest karte hain to aane wale time mein aapke returns kafi high hone ki chances hain. is area ka fayda uthane ke yah sahi samay hai kyon ki land prices abhi lo hai aur future mein teji se badhane ka scope hai investment ka fayda aapko future ke major developments ke sath judne ka ek jabardast mauka de sakta hai.

Leave A Reply